Shak aik
aisa rawaya hai jo ab tak kai gharon ko tabah kar chuka hai. Shak ka nag ahista
ahista dil main barajaman hota hai phir dimag par qabza kar laita hai pahlay insan
apnay qaribi logon ko shak ki nigah say daikhta hai phir oskay ird gird ka
poora mahool oskay liye shak zada ho jata hai.aik waqt aisa ata hai kay who khud
par bhi shak karnay lagta hai oski zindagi, mazhab or ossay mutalqa tamam log
or mamlat shak ki zad main ajatay hain.
Aisa insan
na sirf apnay liye bulkay doosron kay bhi liye bhi baise zahmat ban jata hai.Shak
ki waja say wo na sirf apni bulkay doosron ki zindagi main bhi zahar ghol raha hota hai.
Jab hum
apnay moashray par nazar daltay hain to har shaks kisi na tarah shak ki beemari
ka shikar nazar aata hai.Hum awam hain to apnay hukmaranon ko shak ki nazar say
daikh rahay hotay hain.Hum apnay haqiqi rishtaydaron par shak kar rahay haotay
hain.shak hamaray rishton ki bunyadon ko khokla kar daita hai.Or aik waqt aisa ata hai kay rishton
ki imarat dharam say gir jati hai.Aitamad or yaqeen kay tamam zaraye mafqood
hona shoro ho jatay hain.
Har rishta
qabil-e-aihtiram hota hai laikin shak ki diwar is main darar paida kar daiti hai.Zindagi
jhanum ka namona ban jati hai.Shak karnay wala khud bhi shak ki aag main bhasam
ho raha hota hai or doosron ko bhi bhasam kar raha hota hai.
Shak ki
beemari ka ilaj kisi bhi mualij kay pas nahi hai.Ye insan ka apna paida karda
rawaya hota hai jisay who khud hi apni musbit soch,rawaye or musbit tarz-e-amal
say badal sakta hai or doosron kay liye bais-e-rahmat ban sakta hai.