Saturday, 30 August 2014

Hazri

Hazri
Hamaray muashray main hazri ka lafz ka bhuhat zyada istamal hota hai.
Hazri kya hai?
Hazri us kafiyat ko kahtay hain jis main insan apni nafi kar raha ho ta hai or us par kisi doosri makhlooq ka galba ho ja ta hai or insan apnay housh main nahi rahta.Omuman is sorathal say ortain zyada dochar ho ti hain.
Hazri ki wajoohat!
Insan ki zindagi amal or uskay raddeamal par munhasir hoti hai.Omooman hamara koai bhi raddeamal kisi amal ka natija ho ta hai.Baz oqat insan mojooda halat say farar chahta hai.Is kay lya  woh kisi bhi raddeamal ka izhar karta hai.Hamaray muashray main ortain omooman bayja dabao ka shikar hoti hain.khin woh apnay ghar main bhai,bap ka zulam sah rahi hoti hain jabkay susral main poora gharana un par zulam kar raha hota hai aisi soorathal say nijat kay liya woh hazri ka sahara laiti hain.Ye aik aisi kafiyat hai jiski tabbi tor par koai wazahat nahi ki ja sakti.
Baz aoqat insan apni kisi bat ko manwanay kay lya hazri ka sahara layta hai.Omooman nojawan larkay or larkyan jab apni koai bat manwana chahtay hain to aisi aisi harkat kartay hain.Jis say ghar walay dabao main akar un ki bat man laytay hain.omooman ye tarzeamal jab hi ikhtyar kya ja ta hai jab insan apnay mahol say farar hasil karna chahata hai ya phir apni koi bat manwana chahta hai.
Ye bat  roz-e-roshan ki tarah ayan hai kay koi bhi makhlooq insan par is had tak control hasil nahi kar sakti kay woh apna wajood bhool jay. Hazri ko barhawa dainay  main sab say zyada kirdar gair mustanid amil ada kartay hain.
Jab bhi koi aisi soorat hal samnay aye to is kay liye sab say pahlay kisi mahir nafsiyati mualij say rujo karna chahia.Or mariz kay dabao main anay kay bajay khud is say bat manwanay ki koshish karni chahye.Hazri darama bazi kay ilawa kuchh nahi hoti. Iska sab say bahtar ilaj khud ghar kay afrad samajh boojh say kam laikar kar saktay hain.



Friday, 29 August 2014

Maslak


  Muslak
Aksar jab hum apas main miltay hain ya rishtay wagaira tay kartay hain to omoman aik sawal pochha jata hai kay apka kis maslak se taluq hai?
Baz oqat shadi kay tamam mamlat tay hojatay hain magar maslak ki bunyad par rishta katam ho ja ta hai.
Muslak kya hai?
Islam main char imam bohat mashhoor hain.
1.Imam Abu-Hanifa
2.Imam Malik
3.Imam Shafai
4.Imam Hanbal
In imamoun ki taqlid ko maslak kaha jata  hai.Jo insan jis imam ka motaqid hai who os maslak se khud ko jor laita hai.
Ab sawal ye paida hota hai kya islam main iski gunjaish hai?
Quran-e-pak main Allah pak ka irshad hai!
''Or Allah ki rassi ko mazbooti se pakar lo or tafraqay main mat paro."
Jab islam tafraqay ki mumaniyat kar raha hai to phir maslak ki bunyad par islam ko taqseem karna batil hai.
Hamray aaima arba ka hum ahsan-e-azeem hai kay onhon nay Qurani talimat ko hamari samajh kay liya asan kar dya hai.Or in charon imam ka makhiz quran-e-karim hai.onhon nay quran ko jis tarah samjha os ko aasan kar kay ham tak ponchha dya.Onhon nay kabhi is bat ka taqaza nahai kya kay hum onki tashrihat ko bunyad bana kar ikhtilaf karain.
Ab ye hamara farz banta hai kay hum bajay faqihi ikhtalaf main parain bulkay jis imam ki tashrih hamaray liye aasani ka sabab banay osko ikhtiyar kar lain.Kisi bhi maslak ko ikhtiyar karnay ya na karnay say hamaray din par koei harf nahi aiga.Hamain quran ki pairvi ka hukam hai.kyunkay maslak insan ki banai hooe cheez hai jabke quran malik-e-haqiqi ka hai.
Maslak ki bunyad par jab hum bat kartay hain to aik aham masla hamaray samnay ata hai jis ki waja se kitnay ghar barbad hogya hain.Who talaq ka masla hai.Aik maslak kahta hai kay teen martaba talaq ka lafz istamal karnay say talaq ho ja ti hai jabkay doosra maslak kahta hai teen dafa talaq dainay say talaq hoti hai.
Agar hum muashray kay halat-o-waqayat par nazar daltay hain to ye bat samnay aati hai.kay hamaray muashray main taleemyafta afrad ka tanasub buhat hi kam hai.Talaq baz martaba ghussa main di jati.Baz dafa kisi kay bahkaway main, baz dafa inthahi mamooli bat par itna bara qadam otha lya jata hai jis ki waja say na sirf mian bivi bulkay onkay bachchay or donon khandan buri tarah mutasir hotay hain or onki poori zindagi barbad ho jati hai.
Agar hum maslaki jhagray main na parain or charon imam ki talimat or tashrihat ki pairvi karain to is baray maslay ko aasani say hal kya ja sakta hai or kitni zindagyon ko barbad honay say bachaya ja sakta hai.
Hamain ye bat madd-e-nazar rakhni chahiye kay charon imam kay faqihi masayal main jo bhi ikhtilaf ho laikin sab ka manba-a-ilm or makhiz ‘’Quran-e-Majeed” hai.
   Lahaza qom ko maslaki jaghray main uljhana kisi bhi tor qabilay tarif amal nahi hai or na hi koi qablay taqleed bat hai.



Thursday, 28 August 2014

Talaak (Divorce) or Uski Wajoohaat

Aj kal hamray muashrey main talaq ki sharah buhat barthi jarahi hai. Jo ke aik preshan kun sorat-e-hal hai.Jab hum talaq ki wajoohat janne ki koshish kartay hain to mundarjazail haqaiq hamarey samney atay hain.

1. Zahny humahangi ka  fuqdan.
2. Had se zyada khud sari.
3. Buzragoun ki nafarmani or onkey sath hatak amaiz rawiya.
4. Lalach
5. Marige bureau par had se zyada bharosa.
6. Khud ko aqle kull samjhna .
7. Rishtoun se beatanai.
8. Bardasht ki kami.
9. Maike or susral ki hudood ka khayal na rakhna.
10. Susral main apni zimadariyon ahsas na karna.
 11. Susral main maike walon ki beja dakhal andazi.
12. Shak karna.
13. Doosron ki baton main jald ana.
14. Baghair tasdiq key ilzam tarashi.
15. Aik dosray ko nicha dikhaney ki koshish karna.

Wednesday, 13 August 2014

Do You Have Any Question? Ask We Will Tell You!

Are you worried, or cannot decide what to do and what not? Do you have family problems or any other issue? If you want any answer, ASK, and we will tell you.

The only thing that we need to answer is your name and city name. Nothing more.