Friday, 29 August 2014

Maslak


  Muslak
Aksar jab hum apas main miltay hain ya rishtay wagaira tay kartay hain to omoman aik sawal pochha jata hai kay apka kis maslak se taluq hai?
Baz oqat shadi kay tamam mamlat tay hojatay hain magar maslak ki bunyad par rishta katam ho ja ta hai.
Muslak kya hai?
Islam main char imam bohat mashhoor hain.
1.Imam Abu-Hanifa
2.Imam Malik
3.Imam Shafai
4.Imam Hanbal
In imamoun ki taqlid ko maslak kaha jata  hai.Jo insan jis imam ka motaqid hai who os maslak se khud ko jor laita hai.
Ab sawal ye paida hota hai kya islam main iski gunjaish hai?
Quran-e-pak main Allah pak ka irshad hai!
''Or Allah ki rassi ko mazbooti se pakar lo or tafraqay main mat paro."
Jab islam tafraqay ki mumaniyat kar raha hai to phir maslak ki bunyad par islam ko taqseem karna batil hai.
Hamray aaima arba ka hum ahsan-e-azeem hai kay onhon nay Qurani talimat ko hamari samajh kay liya asan kar dya hai.Or in charon imam ka makhiz quran-e-karim hai.onhon nay quran ko jis tarah samjha os ko aasan kar kay ham tak ponchha dya.Onhon nay kabhi is bat ka taqaza nahai kya kay hum onki tashrihat ko bunyad bana kar ikhtilaf karain.
Ab ye hamara farz banta hai kay hum bajay faqihi ikhtalaf main parain bulkay jis imam ki tashrih hamaray liye aasani ka sabab banay osko ikhtiyar kar lain.Kisi bhi maslak ko ikhtiyar karnay ya na karnay say hamaray din par koei harf nahi aiga.Hamain quran ki pairvi ka hukam hai.kyunkay maslak insan ki banai hooe cheez hai jabke quran malik-e-haqiqi ka hai.
Maslak ki bunyad par jab hum bat kartay hain to aik aham masla hamaray samnay ata hai jis ki waja se kitnay ghar barbad hogya hain.Who talaq ka masla hai.Aik maslak kahta hai kay teen martaba talaq ka lafz istamal karnay say talaq ho ja ti hai jabkay doosra maslak kahta hai teen dafa talaq dainay say talaq hoti hai.
Agar hum muashray kay halat-o-waqayat par nazar daltay hain to ye bat samnay aati hai.kay hamaray muashray main taleemyafta afrad ka tanasub buhat hi kam hai.Talaq baz martaba ghussa main di jati.Baz dafa kisi kay bahkaway main, baz dafa inthahi mamooli bat par itna bara qadam otha lya jata hai jis ki waja say na sirf mian bivi bulkay onkay bachchay or donon khandan buri tarah mutasir hotay hain or onki poori zindagi barbad ho jati hai.
Agar hum maslaki jhagray main na parain or charon imam ki talimat or tashrihat ki pairvi karain to is baray maslay ko aasani say hal kya ja sakta hai or kitni zindagyon ko barbad honay say bachaya ja sakta hai.
Hamain ye bat madd-e-nazar rakhni chahiye kay charon imam kay faqihi masayal main jo bhi ikhtilaf ho laikin sab ka manba-a-ilm or makhiz ‘’Quran-e-Majeed” hai.
   Lahaza qom ko maslaki jaghray main uljhana kisi bhi tor qabilay tarif amal nahi hai or na hi koi qablay taqleed bat hai.



No comments:

Post a Comment