Saturday, 30 August 2014

Hazri

Hazri
Hamaray muashray main hazri ka lafz ka bhuhat zyada istamal hota hai.
Hazri kya hai?
Hazri us kafiyat ko kahtay hain jis main insan apni nafi kar raha ho ta hai or us par kisi doosri makhlooq ka galba ho ja ta hai or insan apnay housh main nahi rahta.Omuman is sorathal say ortain zyada dochar ho ti hain.
Hazri ki wajoohat!
Insan ki zindagi amal or uskay raddeamal par munhasir hoti hai.Omooman hamara koai bhi raddeamal kisi amal ka natija ho ta hai.Baz oqat insan mojooda halat say farar chahta hai.Is kay lya  woh kisi bhi raddeamal ka izhar karta hai.Hamaray muashray main ortain omooman bayja dabao ka shikar hoti hain.khin woh apnay ghar main bhai,bap ka zulam sah rahi hoti hain jabkay susral main poora gharana un par zulam kar raha hota hai aisi soorathal say nijat kay liya woh hazri ka sahara laiti hain.Ye aik aisi kafiyat hai jiski tabbi tor par koai wazahat nahi ki ja sakti.
Baz aoqat insan apni kisi bat ko manwanay kay lya hazri ka sahara layta hai.Omooman nojawan larkay or larkyan jab apni koai bat manwana chahtay hain to aisi aisi harkat kartay hain.Jis say ghar walay dabao main akar un ki bat man laytay hain.omooman ye tarzeamal jab hi ikhtyar kya ja ta hai jab insan apnay mahol say farar hasil karna chahata hai ya phir apni koi bat manwana chahta hai.
Ye bat  roz-e-roshan ki tarah ayan hai kay koi bhi makhlooq insan par is had tak control hasil nahi kar sakti kay woh apna wajood bhool jay. Hazri ko barhawa dainay  main sab say zyada kirdar gair mustanid amil ada kartay hain.
Jab bhi koi aisi soorat hal samnay aye to is kay liye sab say pahlay kisi mahir nafsiyati mualij say rujo karna chahia.Or mariz kay dabao main anay kay bajay khud is say bat manwanay ki koshish karni chahye.Hazri darama bazi kay ilawa kuchh nahi hoti. Iska sab say bahtar ilaj khud ghar kay afrad samajh boojh say kam laikar kar saktay hain.



No comments:

Post a Comment