Qabrastan aisi jagha hai jis say har musalman ka aik jazbati lagao hota hai.Yahan hamaray pyaray madfoon ho tay hain. Hum apnay pyaroun say izhar-e- mohabat kay lya on ki qabroun par katbay lagatay hain.Kabhi hum os par onkay nam likhwatay hain kabhi os par pur asar ashar likh watay hain or khabhi qurani ayat kay katbay likh watay hain.Bas yahin hum say bohat bari galti anjanay main sarzad ho jati hai.
Qabrastan aik aam jagha ho ti jahan insan kay ilawa janwaroun ka bhi guzar ho ta hai.Baz oqat insan or omooman janwar qabron or katbon ki bayhurmati kartay hain.Insan qabron ko phalangtay hain wahan say apni amad-o-raft ka rasta bana laytay hain.
Jabkay janwar na sirf wahan atay jatay hain bulkay wahan rahayash bhi ikhtyar kar latay hain.Aksar janwar on qabron or katbon par pishab or pakhana kar datay hain.Jis say na sirf qabron bulkay on katbon ki bhi bayhurmati ho ja ti hai jo on par lagay hotay hain.
Lahaza ye aik aisa masla hai jis ka na sirf ulma karam bulkay tamam musalmanon ko khyal rakhna chahiye.Qurani ayat ko is bayhurmati say bachanay ka mukamil bandobast karna chahiya.
No comments:
Post a Comment