Tuesday, 9 September 2014

Ahsas-e-kamtari

Ahsas-e-kamtari insane  ka  woh rawayya hai jis main woh  khud  ko dosray say  kamtar samajh raha ho ta hai.Iski  ye soch hoti hai kay woh kisi  bhi  kam ko  ahsan  tariqay say anjam nahi day sakta hai.
Ahsas-e-kamtari ki wajhohat:

Hamray ird gird basnay walay afrad kay rawayya iska sabab bantay hain.Hamra gharailo mahol bhi is raweaya kay bannay main aham kirdar ada karta hai.

Ghar aik khandan say wajod main ata hai.Jis main hamaray waldain, bhai, bahan or mukhtalif rishtay dar shamil ho tay hain.Baz gharon main hamaray mutalqin ka rawayya  buhat musbit hota hai jahan har achay kam ko saraha jata hai or har buray kam ki muzamat ki ja ti hai.

Jabkay dosri taraf aisay khandan bhi hotay hain jahan har waqt tanqidi rawayya ikhtiyar kya ja ta hai.Achay kam ko saraha to nahi jata lakin har bat par tanqid karna farz samjha jata hai.Khandan kay afrad aikdosray ko nacha dikhanay ki koshish main lagay rahtay hain.har waqt dosray say mwazna kya jata hai.Yahi waja hai kay is mahol main musbit kay bajaye manfi  rawayya banna shoro hojata hai.

Baz oqat waldain kay rawaeye bhi  bachon main Ahsas-e-kamtari ka sabab banta hai.Omuman baz gharon main bachom main tafriq ki ja ti hai.Kisi ko sar par bithaya jata hai or kisi ko giraya gata hai.
Masharti nahamwari bhi iska sabab banti hai.Qudarti tor par kisi cheez ki kami bhi iska wajoh hoti hai.

Ab  hum is nuktay par atay hain kay is say kaisay bacha jaye.
Agar iska sabab qudraty hai to hamain apni kisi bhi kami ko Allah ki raza samajh kar sabar karna chahiye or Allah ka shukar guzar banda ban jana chahiye.
Agar dosray log iska sabab hain to onko nazar andaz kar daina chahiye.Gharailo mahol ko bahtar bannay ki koshish karni chahiye.Apnay aap ko ya yaqin dilana chahiye kay aapni mahnat ,koshish, lagan or khud par yaqin kidolat say hum apni nakamiyon ko kamyabi main badal saktay hain.Jo log dunya main kamiyab hain onsay nasihat pakrain or nakam logon say ibrat hasil karain.Agar ye rawayya buhat zyada

masayal  ka sabab ban raha hai or shakhsiyat ko maskh kar raha hai to fori tor par kisi mahir-e-nafsiyat ko dikhana chahiye.

No comments:

Post a Comment