Thursday, 4 September 2014

Hikayat

Aik dafa ka zikar hai main jawani ki masti main apni maan say chikh kar bola .woh mairay hal say ranjida dil ho gyi or ghar kay aik konay main ja bathi. woh akailay bathi ro rahi thi .Sath woh kah rahi thi,baitay shayad to apna bachpan bhool gya hai kay to mujh say sakhti say paish a raha hai.Aisay hi aik burhiya nay apnay  baitay say yun kaha ab to chitay ko gira dainay wala or hathi kay say jism wala ho gya hai.Agar to jhay  apna bachpan yad ata jab too mairi god main majboor tha,tu aaj too mujh par khafa na ho ta.zulm na kar isliya kay ab too shair mard hai or main burhi-o-natawan hon. [Shaikh Sadi]

Aaj jab hum apnay mahol par nazar daltay hain to yay bat samnay aati hai kay olad madoday chand  apnay waldain ka ahtiram,izat or adab bhool chukay hain.Talim jis par islam nay zor dya
 hai woh yay talim nahi jis main insan bayshaor ho jaye.Talim achay buray ka shaor paida karti hai or yahi shaor insan or janwar main farq qayam karta hai.Talim say insan main tahzib,tamiz, achay tour tariqay,adab,ikhlaq or shaor paida ho ta hai.Jab tak dunyawi talim kay sath deeni talim hasil na ki jaye talim ka asal maqsad mafqood ho jata hai.Lahaza;

1.Waldain kay sath hamaisha naram lahjay main bat karni chahiye.
2.Onkay samnay ajz-o-inkisari say rahna chahiye.
3.Waldain ko uf tak nhi kahna chahiye.
4.Waldain ki khidmat karna olad par farz hai.
5.Onki zroriyat ko apni zarorat par muqadam rakhna chahiye.

Waldain ki izat-o-ahtiram par har mazhab main zor dya gya hai.Islam main waldain ki nafarmani gunah-e-kabira hai .Allah pak nay waldain ki nafarmani ko shirk kay bad sab say bara gunah qarar diya hai.Hamray liye dunya akhrat ki bhalaye  isi main hai kay hum apnay waldain kay farman bardar ban jayen or apnay Allah ko razi kar lian.

No comments:

Post a Comment