Wednesday, 29 October 2014

Tahwar ki asal rooh

Tahwar insan ki samaji or mazhabi zindagi ka akkas hotay hain.Tahwar mananay ka tariqa apnay andar bohat  say pahlo liye hoay hota hai.Agar tahwar main insani qadron ka ahtairam kya jai or who tariqay apnaye jaain jis say insaniyat ko sakoon or itminan hasil ho to who tahwar khoshi or musarat ka bais ban jatay hain.

Insani tareekh main hamaisha tahwaron ko bohat ahmiyat rahi hai.Har dour main log kisi na kisi tahwar Say munsalik rahay hain.In tahwaron ko mana kar who apni milli yak jahti,mazhabi humahangi or tahzeeb-o-tamundan ka izhar kartay rahay hain.

Hamaray muzhab islam main bhi do tahwaron  eidulfitar or eidulduha ko bohat ahmiyat hasil hai.Hamain In tahwaron ko sadgi or purwaqqar tariqay say mananay ki ijazat dig ye hai.In tahwaron main har qisam Ki kharafat say bachnay ki hidayat digye hai.Eidain ka agaz pur waqqar tariqay say do rikat namaz ki  Adaigi say hota hai.Allah ki tareef or shukar ada karnay kay bad musalman aikdoosray ko eid ki Mubarak Daitay hain galay miltay hain or bhai charay ka aitiraf kartay hain.Jab namaz kay liye kharay hotay hain Os waqt na koi amarat ki shan dikha raha hota hai or na koi gurbat ki waja say sharmindagi mahsoos kar Raha hota hai.Jis ko jahan jagah milti hai who saf main khara hojata hai.Or sab bila tafreeq aik doosray Say galay mil rahay ho tay hain.Ye islam ka aafaqi sabaq hai kay Allah kay hozoor sab barabri ka darja Rakhtay hain wahan ameer-o-gareeb ,chotay baray ka koi farq nahi hota hai.Wahan sirf Taqwa insane  Ko buland ya kam darjay par faiz karta hai. Taqwa ye hai kay Allah kay tamam ahkaimat jo quran kay zariye hum tak pohnchay hain onki mukamal Pabandi ki jaye or jin kamon say mana kya gya hai os say mukamal tor par ahtairaz kya jai.

Islam who mazhab jahan tahwar say laikar har moasharti, moashi,samaji or mazhabi muamlat main Insani  qadar or ahtiram ki talqeen ki gyi hai. Hamray tahwar bhi insane ko aik doosray ka ahtiram karnay,madad karnay, zarooryat ka khaiyal rakhnaY ,bhai charay,milli yak jahti,itihad,itifaq or aik doosray ki ahmiyat ko tasleem karnay ka sabaq daitay Hain.

Ab ye hamara farz hai kay hum apnay tahwaron ko oski asal rooh kay mutabiq manain or hur os kharafat Say bachain jo akhrat or dunya main ruswaye ka sabab banay. 

Thursday, 16 October 2014

Teenagers

Insan ki zindagi main larakpan say jawani main dakhil honay ka zamana buhat ahmiyat ka hamil hai.Yahi woh dour hai jis main insan ki shaksiyat banna shoro hoti hai.Yay dour omoman 13 say 19 sal ki omer ka hota hai.

Is douran bachay main jo rawaiya tashkil patay hain .woh sari zindagi insan par asar   andaz hotay rahtay hain.Ye zindagi ka woh hissa hai jahan har cheez ko daikhnay ka andaz tabdeel ho jata hai.Bachay har cheez ko apnay nukta-e-nazar or maiar kay tahat daikh rahay hotay hain

Ye dour bachay ki shaksiyat ki takmeel kay laihaz say buhat nazuk dour hota hai.Bachay kisi bhi kam ya kisi bhi cheez ko karnay main tazabzub ka shikar hotay hain.Baz oqat woh jarhana rawaiya ikhtyar kartay hain or baz dafa har cheez main paspaye ikhtiyar kar laytay hain.

Woh apnay jismani sakht main honay wali tabdiliyon ki waja say tashweesh ka shikar hotay hain.Inkay andar nafsiyati or zahni tabdiliyan ho rahi hoti hain jiski waja say woh kashmakash main mubtala ho jatay hain.

Omer kay is hissay main larkon or larkiyon kay mizaj main buhat tabdiliyan hoti hai.Baz larkay jarhana rawaiya ikhtiyar kartay hain or baz sharmilay ho jatay hain.Isi tarah baz larkiyan jarah hojati hain or baz sharmeeli.

Yahi woh waqt hota hai jab waldian ko onki shakhsiyaat ki takmeel main aaham kirdar ada karna hota hai.Onhay achhay buray ki tameez sikhani hoti hai.apnay rawaiye ko control karnay ka gur batana hota hai.

Is omer main bachay apnay andar honay wali tabdiliyon ko samajh nahi patay is liye woh mukhtalif 
rawaiyon ka izhar kartay hain.Waldain ko bachon ko onkay andar honay wali tabdiliyon say aagahi daini chahiye.Onkay sath dostana or mushfiqana tarz-e-amal ikhtiyar karna chahiye.onkay andar musbit soch or rawaiye ko farog daina chahiye.Onkay masayil ko gour say sunna chahiye or oska hal batana chahiye.Onko ye batana chahiye kay woh kis tarah aik achhay insan or karaamad shahri ban saktay hain.Qadam qadam par onki rahnumaye karni chahiye.Waldain ko waldain say zyada aik dost or rahnuma ka kirdar ada karna chahiye.         


Friday, 10 October 2014

Ryakari

Ryakari or banawat who insane rawiaye hain jo moashray ko ghun ki tarah chat rahay hain.Agar hum apnay irdgird nazar dalian  to har shakhs aik dohra kirdar ada kar raha hota hai.Hum bazahir jo nazar aa rahai hotay hain woh hotay nahi hain.Hamaray dil main kuchh or zaban par kuchh hota hai.
Agar hum amiron ko daikhain to onhon nay garoor or takabur ko apnana apna farz samagh liya hai. Gardan ko akra kar rakhtay hain aksaryiat kay hark am main ryakari nazar aa rahi hoti hai.yahan tak kay dini mamlat bhi ryakari say khali nahi hotay.Agar kisi ki madad kartay hain to ahsan jatla kar kartay hain.Mazhabi mamlat jaisay Haj,omra,qurbani, to onki koshish yahi hoti hai kay zyada say zyada  haj or omray karain takay log onhai parhaizgar samjhain.Qurbani ka jawar kharidtay waqt Allah ki raza madday nazar nahi rakhi jati bulkay dikhaway ko madday nazar rakha jata hai kay log ye kahain kay inka janwar to buhat mahnga or achha hai.Baitiyon ko zyada say zyada jahaiz dai kar apni amarat ka izhar kya jata hai.Media par apnay falahi kamon ki tashheer ki ja rahi hoti hai.Is banawati or ryakarana rawiaye ko apna kar gareeb bhi apni zindagi ko talkh kar rahay hotay hain.Odhar laikar jahaiz dya jata hai.Apna maiaray zindagi buland karnay kay liye gairqanooni tariqay apnaye jatay hain.Dosron ko margoob kar nay kay liye apni hasiyat say barh kar ikhrajat kiye jatay hain.Jiski waja say moashray main aik afratafri si nazar aati hai.har fard apnay maqasid kay hosool ki tag-o-do main masroof nazar aata hai.Moasharti hum ahangi ka tasawar mafqood hojata hai.   
Agar sahib-e- sarwat afrad apnay ryakarana rawiaye ko tark kar dain or aik sada or purwaqar zindagi guzarain to moashray main mojood doosray logon ki zindagi bhi pursakoon ho sakti hai or moashray main humaahugi paida ho sakti hai.

Is ryakari or banawati rawiaye ko katam karnay main khwateen aham kirdar ada kar sakti hain.omuman shadi ,biyah,tahwar or digar taqribat kay moqay par aik doosray par sabqat lay janay ki  koshish main khwateen mahngay say mahnga  libas ,zaiwairat or zaibaish ki ashya istamal karti hain jiski waja say na sirf gharailo akhrajat main izafa hota hai bulkay gharailo bajat bhi gair mutawazan ho jata hai.Hum agar shoro say apnay andar ye rawia apna lain kay kisi ka gair zaroori muqabla nahi karna hai jitni chadar ho otna pair phailana hai.Apni had main rahna hai.Ryakari say bachna hai.Banawati rawia ikhtiyar nhi karna hai or jo kuchh Allah pak nay ata kya hai oska shukar ada kartay hoye apni oqat main rahna hai to yaqinan na sirf hamari khangi zindagi bulkay moashrati zindagi bhi pursakoon or puraman ho sakti hai bulkay hum aik mutwazan or bahtar moashray ki bunyad rakh saktay hain.