Insan ki zindagi main larakpan say jawani main dakhil honay
ka zamana buhat ahmiyat ka hamil hai.Yahi woh dour hai jis main insan ki
shaksiyat banna shoro hoti hai.Yay dour omoman 13 say 19 sal ki omer ka hota
hai.
Is douran bachay main jo rawaiya tashkil patay hain .woh
sari zindagi insan par asar andaz hotay
rahtay hain.Ye zindagi ka woh hissa hai jahan har cheez ko daikhnay ka andaz
tabdeel ho jata hai.Bachay har cheez ko apnay nukta-e-nazar or maiar kay tahat
daikh rahay hotay hain
Ye dour bachay ki shaksiyat ki takmeel kay laihaz say buhat
nazuk dour hota hai.Bachay kisi bhi kam ya kisi bhi cheez ko karnay main
tazabzub ka shikar hotay hain.Baz oqat woh jarhana rawaiya ikhtyar kartay hain
or baz dafa har cheez main paspaye ikhtiyar kar laytay hain.
Woh apnay jismani sakht main honay wali tabdiliyon ki waja
say tashweesh ka shikar hotay hain.Inkay andar nafsiyati or zahni tabdiliyan ho
rahi hoti hain jiski waja say woh kashmakash main mubtala ho jatay hain.
Omer kay is hissay main larkon or larkiyon kay mizaj main
buhat tabdiliyan hoti hai.Baz larkay jarhana rawaiya ikhtiyar kartay hain or baz
sharmilay ho jatay hain.Isi tarah baz larkiyan jarah hojati hain or baz
sharmeeli.
Yahi woh waqt hota hai jab waldian ko onki shakhsiyaat ki
takmeel main aaham kirdar ada karna hota hai.Onhay achhay buray ki tameez
sikhani hoti hai.apnay rawaiye ko control karnay ka gur batana hota hai.
Is omer main bachay apnay andar honay wali tabdiliyon ko samajh
nahi patay is liye woh mukhtalif
rawaiyon ka izhar kartay hain.Waldain ko bachon
ko onkay andar honay wali tabdiliyon say aagahi daini chahiye.Onkay sath
dostana or mushfiqana tarz-e-amal ikhtiyar karna chahiye.onkay andar musbit
soch or rawaiye ko farog daina chahiye.Onkay masayil ko gour say sunna chahiye
or oska hal batana chahiye.Onko ye batana chahiye kay woh kis tarah aik achhay
insan or karaamad shahri ban saktay hain.Qadam qadam par onki rahnumaye karni
chahiye.Waldain ko waldain say zyada aik dost or rahnuma ka kirdar ada karna
chahiye.
No comments:
Post a Comment