Friday, 10 October 2014

Ryakari

Ryakari or banawat who insane rawiaye hain jo moashray ko ghun ki tarah chat rahay hain.Agar hum apnay irdgird nazar dalian  to har shakhs aik dohra kirdar ada kar raha hota hai.Hum bazahir jo nazar aa rahai hotay hain woh hotay nahi hain.Hamaray dil main kuchh or zaban par kuchh hota hai.
Agar hum amiron ko daikhain to onhon nay garoor or takabur ko apnana apna farz samagh liya hai. Gardan ko akra kar rakhtay hain aksaryiat kay hark am main ryakari nazar aa rahi hoti hai.yahan tak kay dini mamlat bhi ryakari say khali nahi hotay.Agar kisi ki madad kartay hain to ahsan jatla kar kartay hain.Mazhabi mamlat jaisay Haj,omra,qurbani, to onki koshish yahi hoti hai kay zyada say zyada  haj or omray karain takay log onhai parhaizgar samjhain.Qurbani ka jawar kharidtay waqt Allah ki raza madday nazar nahi rakhi jati bulkay dikhaway ko madday nazar rakha jata hai kay log ye kahain kay inka janwar to buhat mahnga or achha hai.Baitiyon ko zyada say zyada jahaiz dai kar apni amarat ka izhar kya jata hai.Media par apnay falahi kamon ki tashheer ki ja rahi hoti hai.Is banawati or ryakarana rawiaye ko apna kar gareeb bhi apni zindagi ko talkh kar rahay hotay hain.Odhar laikar jahaiz dya jata hai.Apna maiaray zindagi buland karnay kay liye gairqanooni tariqay apnaye jatay hain.Dosron ko margoob kar nay kay liye apni hasiyat say barh kar ikhrajat kiye jatay hain.Jiski waja say moashray main aik afratafri si nazar aati hai.har fard apnay maqasid kay hosool ki tag-o-do main masroof nazar aata hai.Moasharti hum ahangi ka tasawar mafqood hojata hai.   
Agar sahib-e- sarwat afrad apnay ryakarana rawiaye ko tark kar dain or aik sada or purwaqar zindagi guzarain to moashray main mojood doosray logon ki zindagi bhi pursakoon ho sakti hai or moashray main humaahugi paida ho sakti hai.

Is ryakari or banawati rawiaye ko katam karnay main khwateen aham kirdar ada kar sakti hain.omuman shadi ,biyah,tahwar or digar taqribat kay moqay par aik doosray par sabqat lay janay ki  koshish main khwateen mahngay say mahnga  libas ,zaiwairat or zaibaish ki ashya istamal karti hain jiski waja say na sirf gharailo akhrajat main izafa hota hai bulkay gharailo bajat bhi gair mutawazan ho jata hai.Hum agar shoro say apnay andar ye rawia apna lain kay kisi ka gair zaroori muqabla nahi karna hai jitni chadar ho otna pair phailana hai.Apni had main rahna hai.Ryakari say bachna hai.Banawati rawia ikhtiyar nhi karna hai or jo kuchh Allah pak nay ata kya hai oska shukar ada kartay hoye apni oqat main rahna hai to yaqinan na sirf hamari khangi zindagi bulkay moashrati zindagi bhi pursakoon or puraman ho sakti hai bulkay hum aik mutwazan or bahtar moashray ki bunyad rakh saktay hain.

No comments:

Post a Comment