Jahalat ka mafhoom apnay andar bohat wosat rakhta hai.Aam tor par hum nakhoanda afrad ko jahil kahtay hain laikin agar bagour jaiza liya jaaiy to baz khoanda afrad bhi jahalat ka paikar ho tay hain.
Sirf taleem hasil kar kay koi shakhs taleem yafta ka darja nahi pa sakta jab tak woh shaoori tor par
bashaoor na ho.
likhnay parhnay ka nam taleem nahi hai bulkay taleem insani shaoor ka nam hai.Jis main insan hoqooq o farayiz,achhay buray ki tameez, tahzeeb,qanoon ki pasdari,bahtar shakhsiyat ki tashkeel,bahtreen kirdar ki takmeel,baron ka adab o laihaz,insaniyat ka ahtaram,rishton ki qadar o manzalit,bahtreentaleem o tarbiyat or khoshgawar zindagi guzarnay kay tariqay seekhta hai.
Jab hum apnay moashray par nazar daltay hain to taleemyafta to bohat mil jatay hain magar bashaoor log bohat kam miltay hain.Insan agar taleemyafta kay sath bashaoor bhi ho to zindagi jannat ban jati hai agar mamla is kay baraks ho to zindagi jhanum ban ja ti hai.
Aik insan jab jahil hota hai to bohat say mamlat ko jahalat ka nam daikar dar guzar kar diya jata hai.Kunkay aik jahil insan khowa woh mard ho ya ourat pnay ird gird kay mahol,apnay ghar walon or digar logon say mutabiqat paida nahi kar pata jis ki waja say woh masail main ghir jata hai in masail ka hal oskay pas nahi hota or zindagi parishaniyon ka gahwara ban jati hai.Baz insan jo jahil hotay hain magar bashaoor hotay hain woh masail say numbardazma hona janta hain.Or apnay bashaoor honay ki waja say woh bohat si parishniyon or masail par qabo pa laitay hain.Ye shaoor baz dafa qudrati hota hai or bazoqat insan apnay mahol say iska iktisab karta hai.
Jabkay doosri taraf aik taleemyafta insan har maslay ko montaqi tor parhal karnay ki koshish karta hai is main woh kabhi kamyab hota hai or kabhi nakam kyonkay woh apnay ird gird kay mahol say nasihat,ibrat ya aamozish nahi karta jiski waja say woh masailko hal karnay main nakam nazar aata hai.Woh taleem to hasil kar liata hai magar shaoor kay os maqam par nahi puhanch pata jo zindagi kay masail hal karnay main moawin sabit hotay hain.
Baz oqat hum ye mushahida kartay hain kay aik taleemyafta insan jis maslay ko hal karnay main nakam hota hai wahan aik jahil shakhs os maslay ko foran hal kar daita hai iski waja os shakhs ka shaoor,tajruba maholi iktisab hota hai.
Is tarah ye bat hamaray samnay aati hai kay bahtar zindagi guzarnay kay liye taleem kay sath shaoor ka hona bohat zarory hai.
No comments:
Post a Comment