Panch harf par mushtamil lafz Sadgi apnay andar zahni or qalbi sakoon ka baipanah zakheera rakhta hai.
Zahni sakoon woh cheez hai jiski talash main insan musalsal sar gardan rahta hai.Har shakhs chahata hai kay woh pur sakoon zindagi guzaray is kay liye woh har tarah kay jatan karta hai.
Zindagi ko dushwar bananay main sab say bara hath khud insan ka hota hai. Namonamood,dikhawa,ryakari,hirs,tama,lalach.doosron ko nicha dikhanay ki tamanna or khud ko boland moqam par lay janay ki khuhaish ye woh awamil hain jo insan ko baysakoon or baychain rakhtay hai.
Iskay baraks agar zindagi ki bunyad mahaz sadgi par rakhi jaiy to natija sakoon o chain ki soorat main zahir hota hai.Agar hum libas,taam,raihaish or zindagi guzarnay kay tor tariqay main sadgi ko apna lain to hum bohat si baychiniyon or baysakoniyon say bach saktay hain.
No comments:
Post a Comment