Tuesday, 17 November 2015

SHAK

Shak aik aisa rawaya hai jo ab tak kai gharon ko tabah kar chuka hai. Shak ka nag ahista ahista dil main barajaman hota hai phir dimag par qabza kar laita hai pahlay insan apnay qaribi logon ko shak ki nigah say daikhta hai phir oskay ird gird ka poora mahool oskay liye shak zada ho jata hai.aik waqt aisa ata hai kay who khud par bhi shak karnay lagta hai oski zindagi, mazhab or ossay mutalqa tamam log or mamlat shak ki zad main ajatay hain.

Aisa insan na sirf apnay liye bulkay doosron kay bhi liye bhi baise zahmat ban jata hai.Shak ki waja say wo na sirf apni bulkay doosron ki zindagi main bhi zahar ghol raha hota hai.

Jab hum apnay moashray par nazar daltay hain to har shaks kisi na tarah shak ki beemari ka shikar nazar aata hai.Hum awam hain to apnay hukmaranon ko shak ki nazar say daikh rahay hotay hain.Hum apnay haqiqi rishtaydaron par shak kar rahay haotay hain.shak hamaray rishton ki bunyadon ko khokla kar  daita hai.Or aik waqt aisa ata hai kay rishton ki imarat dharam say gir jati hai.Aitamad or yaqeen kay tamam zaraye mafqood hona shoro ho jatay hain.

Har rishta qabil-e-aihtiram hota hai laikin shak ki diwar is main darar paida kar daiti hai.Zindagi jhanum ka namona ban jati hai.Shak karnay wala khud bhi shak ki aag main bhasam ho raha hota hai or doosron ko bhi bhasam kar raha hota hai.

Shak ki beemari ka ilaj kisi bhi mualij kay pas nahi hai.Ye insan ka apna paida karda rawaya hota hai jisay who khud hi apni musbit soch,rawaye or musbit tarz-e-amal say badal sakta hai or doosron kay liye bais-e-rahmat ban sakta hai.



Saturday, 9 May 2015

sadgi

Panch harf par mushtamil lafz Sadgi apnay andar zahni or qalbi sakoon ka baipanah zakheera rakhta hai.
Zahni sakoon woh cheez hai jiski talash main insan musalsal sar gardan rahta hai.Har shakhs chahata hai kay woh pur sakoon zindagi guzaray is kay liye woh har tarah kay jatan karta hai.
Zindagi ko dushwar bananay main sab say bara hath khud insan ka hota hai. Namonamood,dikhawa,ryakari,hirs,tama,lalach.doosron ko nicha dikhanay ki tamanna or khud ko boland moqam par lay janay ki khuhaish ye woh awamil hain jo insan ko baysakoon or baychain rakhtay hai.
Iskay baraks agar zindagi ki bunyad mahaz sadgi par rakhi jaiy to natija sakoon  o chain ki soorat main zahir hota  hai.Agar hum libas,taam,raihaish or zindagi guzarnay kay tor tariqay main sadgi ko apna lain to hum bohat si baychiniyon or baysakoniyon say bach saktay hain.

odasi

Kisi qafas main aik parinda qaid tha os ko zinda rahnay or khosh rahnay kay liye har sahoolat hasil thi bartan har waqt khanay or pani say bhara rahta tha laikin woh phir bhi odas tha kyonkay osko woh azadi hasil na thi jo parinday ki sift or jibilat hoti hai yani azad fazaon main orna.
Isi tarha insan ko zindagi ki har aasaish hasil hoti hai woh khata hai peeta hai achhay say achha tarzay rahaish ikhtiyar karta hai.Khoobsoorat makan main rahta hai.Apni har khohaish ko payae takmeel tak ponhchata hai magar batni tor par woh odas rahta hai kyonkay os ki takhleeq ka jo maqsad hai woh os say sare mo inharaf karta hai yani Allah ka zikar or Allah kay ahkamat ki tameel.

Jahalat or shaoor

Jahalat ka mafhoom apnay andar bohat wosat  rakhta hai.Aam tor par hum nakhoanda afrad ko jahil kahtay hain laikin agar bagour jaiza liya jaaiy to baz khoanda afrad bhi jahalat ka paikar ho tay hain.
Sirf taleem hasil kar kay koi shakhs taleem yafta ka darja nahi pa sakta jab tak  woh shaoori tor par
bashaoor na ho.
likhnay parhnay ka nam taleem nahi hai bulkay taleem insani  shaoor ka nam hai.Jis main insan hoqooq o farayiz,achhay buray ki tameez, tahzeeb,qanoon ki pasdari,bahtar shakhsiyat ki tashkeel,bahtreen kirdar ki takmeel,baron ka adab o laihaz,insaniyat ka ahtaram,rishton ki qadar o manzalit,bahtreentaleem o tarbiyat or khoshgawar zindagi guzarnay kay tariqay seekhta hai.
Jab hum apnay moashray par nazar daltay hain to taleemyafta to bohat mil jatay hain magar bashaoor log bohat kam miltay hain.Insan agar taleemyafta kay sath bashaoor bhi ho to zindagi jannat ban jati hai agar mamla is kay baraks ho to zindagi jhanum ban ja ti hai.
Aik insan jab jahil hota hai to bohat say mamlat ko jahalat ka nam daikar dar guzar kar diya jata hai.Kunkay aik jahil insan khowa woh mard ho ya ourat pnay ird gird kay mahol,apnay ghar walon or digar logon say mutabiqat paida nahi kar pata jis ki waja say woh masail main ghir jata hai in masail ka hal oskay pas nahi hota or zindagi parishaniyon ka gahwara ban jati hai.Baz insan jo jahil hotay hain magar bashaoor hotay hain woh masail say numbardazma hona janta hain.Or apnay bashaoor honay ki waja say woh bohat si parishniyon or masail par qabo pa laitay hain.Ye shaoor baz dafa qudrati hota hai or bazoqat insan apnay mahol say iska iktisab karta hai.
Jabkay doosri taraf aik taleemyafta insan har maslay ko montaqi tor parhal karnay ki koshish karta hai is main woh kabhi kamyab hota hai or kabhi nakam kyonkay woh apnay ird gird kay mahol say nasihat,ibrat ya aamozish nahi karta jiski waja say woh masailko hal karnay main nakam nazar aata hai.Woh taleem to hasil kar liata hai magar shaoor kay os maqam par nahi puhanch pata jo zindagi kay masail hal karnay main moawin sabit hotay hain.
Baz oqat hum ye mushahida kartay hain kay aik taleemyafta insan jis maslay ko hal karnay main nakam hota hai wahan aik jahil shakhs os maslay ko foran hal kar daita hai iski waja os shakhs ka shaoor,tajruba maholi iktisab hota hai.
Is tarah ye bat hamaray samnay aati hai kay bahtar zindagi  guzarnay  kay liye taleem kay sath shaoor ka hona bohat zarory hai.

Tuesday, 5 May 2015

Aamilon ka jal

Aaj kay dour main insan shakhsiyat parasti ka shikar hai.Kahin woh syasi , kahin ilmi, kahin malda or kahin woh mazhabi shakhsiyat say woh mukamal tour par mutasir nazar ata hai.
Shakhsiyat parasti ki waja say woh amana sadaqna ki pori tasweer ban jata hai.yahi waja hai kay log os say jaiz o najaiz maqasid hasil kar laytay hain.
Hamaray moashray main peeri moridi ka silsala bohat porana hai.Jahan bohat say peer kamil guzray hai or mojood hain waheen par bahroopye peer ka libada orh kar logon ko baiwaqoof bananay main
mashgool hain
Insan fitri tor par apni khowahishat ka gulam hota hai woh chahata hai ki oski har jaiz or najaiz khowhish  fori tor par poori ho jaay.Is kay liye woh har tariqa apnata hai isi waja say woh aamilon
kay chakar main bhi par jata hai.
Hum ko galyon ki diwaron,akhbaron,postar kardon main aksar in aamilon ki tashheer nazar aati hai.
Or khohashiyat ka gulam insan baghair kisi chhan been kay on kay chungal main phans jata hai or phansta hi chala jata hai.Jab bhi koi naya insan inkay aastanay par hazir hota hai to wahan mojood afrad os aamil ki qaseeda khowani shoro kar daitay hain or batatay hain kay hamaray kitnay moshkil tareen kam in kay zariye paye takmeel tak ponhanchtay hain.yey log omooman in aamilon kay nomainday ho tay hain jo kay logon ko ghairtay hain.Naya shakhs in ka qasida sun kar inka motaqid ho jata hai.Jab woh shakhs on kay jal main phans jata hai to oska nikalna moshkil ho jata hai.
sab say pahlay aamil banday ko ghairnay kay liye ye batatay hain tum par bohat khatarnak jado,bandish,kala ilm or sifli waghaira karwaya gya hai agar is ki kat na hoi to tum mar saktay ho.Ye nafsiyati harba istimal kar kay who banday ko qaboo kartay hain.Phir otara kay nam say kuchh cheezain mangwayi jati hain agar woh lanay say inkar karta hai to kharcha bata kar khud lanay ko kaha jata hai or otaray kay nam par aik bari raqam ainth li jati hai.Sadqay kay nam par,niyaz or langar
kay liye aik bari raqam ka mutalba kya jata hai.
Bahaisiyat aik musalman hum ye bat jantay hain kay jadoo bar haq hai or is ka ilaj quran main hai or baray say baray jadoo or ilm  ka qurani ilm say tor kiya sakta hai.Qurani ilm woh ilm hai Allah apnay jis banday ya bandi ko chahay ata farmata hai baqi jadoo ki kat kay tariqay jo aamil apnatay hain woh batil ho tay hain or iman ko kharab karnay ka sabab bantay hain.

Wednesday, 29 October 2014

Tahwar ki asal rooh

Tahwar insan ki samaji or mazhabi zindagi ka akkas hotay hain.Tahwar mananay ka tariqa apnay andar bohat  say pahlo liye hoay hota hai.Agar tahwar main insani qadron ka ahtairam kya jai or who tariqay apnaye jaain jis say insaniyat ko sakoon or itminan hasil ho to who tahwar khoshi or musarat ka bais ban jatay hain.

Insani tareekh main hamaisha tahwaron ko bohat ahmiyat rahi hai.Har dour main log kisi na kisi tahwar Say munsalik rahay hain.In tahwaron ko mana kar who apni milli yak jahti,mazhabi humahangi or tahzeeb-o-tamundan ka izhar kartay rahay hain.

Hamaray muzhab islam main bhi do tahwaron  eidulfitar or eidulduha ko bohat ahmiyat hasil hai.Hamain In tahwaron ko sadgi or purwaqqar tariqay say mananay ki ijazat dig ye hai.In tahwaron main har qisam Ki kharafat say bachnay ki hidayat digye hai.Eidain ka agaz pur waqqar tariqay say do rikat namaz ki  Adaigi say hota hai.Allah ki tareef or shukar ada karnay kay bad musalman aikdoosray ko eid ki Mubarak Daitay hain galay miltay hain or bhai charay ka aitiraf kartay hain.Jab namaz kay liye kharay hotay hain Os waqt na koi amarat ki shan dikha raha hota hai or na koi gurbat ki waja say sharmindagi mahsoos kar Raha hota hai.Jis ko jahan jagah milti hai who saf main khara hojata hai.Or sab bila tafreeq aik doosray Say galay mil rahay ho tay hain.Ye islam ka aafaqi sabaq hai kay Allah kay hozoor sab barabri ka darja Rakhtay hain wahan ameer-o-gareeb ,chotay baray ka koi farq nahi hota hai.Wahan sirf Taqwa insane  Ko buland ya kam darjay par faiz karta hai. Taqwa ye hai kay Allah kay tamam ahkaimat jo quran kay zariye hum tak pohnchay hain onki mukamal Pabandi ki jaye or jin kamon say mana kya gya hai os say mukamal tor par ahtairaz kya jai.

Islam who mazhab jahan tahwar say laikar har moasharti, moashi,samaji or mazhabi muamlat main Insani  qadar or ahtiram ki talqeen ki gyi hai. Hamray tahwar bhi insane ko aik doosray ka ahtiram karnay,madad karnay, zarooryat ka khaiyal rakhnaY ,bhai charay,milli yak jahti,itihad,itifaq or aik doosray ki ahmiyat ko tasleem karnay ka sabaq daitay Hain.

Ab ye hamara farz hai kay hum apnay tahwaron ko oski asal rooh kay mutabiq manain or hur os kharafat Say bachain jo akhrat or dunya main ruswaye ka sabab banay. 

Thursday, 16 October 2014

Teenagers

Insan ki zindagi main larakpan say jawani main dakhil honay ka zamana buhat ahmiyat ka hamil hai.Yahi woh dour hai jis main insan ki shaksiyat banna shoro hoti hai.Yay dour omoman 13 say 19 sal ki omer ka hota hai.

Is douran bachay main jo rawaiya tashkil patay hain .woh sari zindagi insan par asar   andaz hotay rahtay hain.Ye zindagi ka woh hissa hai jahan har cheez ko daikhnay ka andaz tabdeel ho jata hai.Bachay har cheez ko apnay nukta-e-nazar or maiar kay tahat daikh rahay hotay hain

Ye dour bachay ki shaksiyat ki takmeel kay laihaz say buhat nazuk dour hota hai.Bachay kisi bhi kam ya kisi bhi cheez ko karnay main tazabzub ka shikar hotay hain.Baz oqat woh jarhana rawaiya ikhtyar kartay hain or baz dafa har cheez main paspaye ikhtiyar kar laytay hain.

Woh apnay jismani sakht main honay wali tabdiliyon ki waja say tashweesh ka shikar hotay hain.Inkay andar nafsiyati or zahni tabdiliyan ho rahi hoti hain jiski waja say woh kashmakash main mubtala ho jatay hain.

Omer kay is hissay main larkon or larkiyon kay mizaj main buhat tabdiliyan hoti hai.Baz larkay jarhana rawaiya ikhtiyar kartay hain or baz sharmilay ho jatay hain.Isi tarah baz larkiyan jarah hojati hain or baz sharmeeli.

Yahi woh waqt hota hai jab waldian ko onki shakhsiyaat ki takmeel main aaham kirdar ada karna hota hai.Onhay achhay buray ki tameez sikhani hoti hai.apnay rawaiye ko control karnay ka gur batana hota hai.

Is omer main bachay apnay andar honay wali tabdiliyon ko samajh nahi patay is liye woh mukhtalif 
rawaiyon ka izhar kartay hain.Waldain ko bachon ko onkay andar honay wali tabdiliyon say aagahi daini chahiye.Onkay sath dostana or mushfiqana tarz-e-amal ikhtiyar karna chahiye.onkay andar musbit soch or rawaiye ko farog daina chahiye.Onkay masayil ko gour say sunna chahiye or oska hal batana chahiye.Onko ye batana chahiye kay woh kis tarah aik achhay insan or karaamad shahri ban saktay hain.Qadam qadam par onki rahnumaye karni chahiye.Waldain ko waldain say zyada aik dost or rahnuma ka kirdar ada karna chahiye.