Thursday, 18 September 2014

Pahla Qadam

Jab aik bacha talimi maidan main qadam rakhta hai to ghar walay apni khuhishat kay mutabiq os say bhhat si tawaqat wabasta kar laytay hain.Pahlay din say ye soch lya jata hai kay maira bacha bara ho kar doctor, engineer,waqeel, businessmen or isi tarah kay baray ohday ka hamil insan banay ga.Is tarha bachay ki zahni salahiyat,oskay rujhan or qabliyat janay baghair is say tawquat wabasta kar li jati hai.
Bacha jaisay jaisay talimi mrahil tay karta jata hai us par in tawqat ko pora karnay ka dabao barhta jata hai.Bacha agar is dabao ko bardasht nhi kar pata to talim say bhagna shoro kar daita hai.Or oska dil parhaye say ochat ho jata hai.Doosri taraf bhair chal ki waja say aik shakhs jo kar raha hota hai doosra bhi oski pairwi ki koshish karta hai jiski waja say talim say shaor kay bajaye bayshaori paida ho rahi hai.
Bachay ko school main dakhil karwanay ki omer 5 say 6 sal ki hoti hai.Is omer tak gharwalon ki zimadari hoti hai kay who bachon ki tarbiyat karain lakin moashray main apni zimadariyon ko nibhanay ka rujhan napaid hota jaraha hai.Doosri taraf talim ko tijarat bana dya gya hai.Talimi idaray apni aamdani main izafay kay liye choti omer main hi bachon ko school main dakhil karwanay ki  targib daitay hain.Laihaza bachay ki woh omer jis main who ghar main rah kar ikhlaqi,kirdari or mosharati tarbiyat hasil kata hai who school ki nazar hojata hai.
Jab bachay ki kisi shobay main janay ki omer aati hai to andhi taqlid or apni khoaish ki takmil kay liye bachay kay rujhan or oski qablyat janay baghair shobay ka intikhab kar lya jata hai.Jiski waja say bachay ki salahiyat dab jati hain or woh shoq kay bajaye dabao kay tahat talim hasil kar raha hota hai.
Isi tarha school kay intikhab main school kay maiyar ko nahi bulkay oskay nam,bastay kay wazan or manhgi fees ko tarjih di jati hai.yahi waja hai kay bacha jab school main dakhil ho ta hai to oski tawjah talim par kam numashi kamon par zyada ho ti hai.Isi musabiqat ki waja say  bacha talim say bhagna shoro ho jata hai.Agar hum chahtay hain kay hamaray bachay talimi maidan main taraqi karain to hamain in baton ko madde nazar rakhna hoga;
1.School kay intikhab main school kay maiyar ko tarjih daina.
2.Bachay ko is dabao say aazad karna kay osnay baray ho kar kya banna hai.
3.Os kay liye shobay ka intikhab kartay waqt oski zahni salahiyat,qabliyat or oskay rujhan ko madde nazar rakhna.
4.Aisay nisab ko chunna jo bachon ki qabliyat or salahiyat ko ojagar karai.
5.Talimi nisab main itna hi mawad shamil kya jaye jo onki zahni istadad kay mutabiq ho.
6.Aihd-e-hazir say mutabiqat rakhnay walay mazamin shamil-e-nisab hon.
7.Madri zaban main hasil ki gye talim zyada karaamad hoti hai.


Tuesday, 9 September 2014

Ahsas-e-kamtari

Ahsas-e-kamtari insane  ka  woh rawayya hai jis main woh  khud  ko dosray say  kamtar samajh raha ho ta hai.Iski  ye soch hoti hai kay woh kisi  bhi  kam ko  ahsan  tariqay say anjam nahi day sakta hai.
Ahsas-e-kamtari ki wajhohat:

Hamray ird gird basnay walay afrad kay rawayya iska sabab bantay hain.Hamra gharailo mahol bhi is raweaya kay bannay main aham kirdar ada karta hai.

Ghar aik khandan say wajod main ata hai.Jis main hamaray waldain, bhai, bahan or mukhtalif rishtay dar shamil ho tay hain.Baz gharon main hamaray mutalqin ka rawayya  buhat musbit hota hai jahan har achay kam ko saraha jata hai or har buray kam ki muzamat ki ja ti hai.

Jabkay dosri taraf aisay khandan bhi hotay hain jahan har waqt tanqidi rawayya ikhtiyar kya ja ta hai.Achay kam ko saraha to nahi jata lakin har bat par tanqid karna farz samjha jata hai.Khandan kay afrad aikdosray ko nacha dikhanay ki koshish main lagay rahtay hain.har waqt dosray say mwazna kya jata hai.Yahi waja hai kay is mahol main musbit kay bajaye manfi  rawayya banna shoro hojata hai.

Baz oqat waldain kay rawaeye bhi  bachon main Ahsas-e-kamtari ka sabab banta hai.Omuman baz gharon main bachom main tafriq ki ja ti hai.Kisi ko sar par bithaya jata hai or kisi ko giraya gata hai.
Masharti nahamwari bhi iska sabab banti hai.Qudarti tor par kisi cheez ki kami bhi iska wajoh hoti hai.

Ab  hum is nuktay par atay hain kay is say kaisay bacha jaye.
Agar iska sabab qudraty hai to hamain apni kisi bhi kami ko Allah ki raza samajh kar sabar karna chahiye or Allah ka shukar guzar banda ban jana chahiye.
Agar dosray log iska sabab hain to onko nazar andaz kar daina chahiye.Gharailo mahol ko bahtar bannay ki koshish karni chahiye.Apnay aap ko ya yaqin dilana chahiye kay aapni mahnat ,koshish, lagan or khud par yaqin kidolat say hum apni nakamiyon ko kamyabi main badal saktay hain.Jo log dunya main kamiyab hain onsay nasihat pakrain or nakam logon say ibrat hasil karain.Agar ye rawayya buhat zyada

masayal  ka sabab ban raha hai or shakhsiyat ko maskh kar raha hai to fori tor par kisi mahir-e-nafsiyat ko dikhana chahiye.

Sunday, 7 September 2014

Parcham

 Parcham jiska hum apni jan say zyada hifazat karnay kartay hain who galyon, muhallon ,gharon or khambon par laga kar bhol jatay hain.Or musalsal kharab mosam or hawa kay thapairay khatay hoye who zakhmi zakhmi ho ja ta hai.Or har aanay janay walay say sawal kar raha hota hai kya main isi salok ka mustahaq hon?
Pakistani  parcham  ki jhandiyan j okay gali ,muhallay or gharon ko sajanay kay liye istamal ki ja ti hain, who waqt kay sath sath zameen par bikhri hoie nazar ati hain.Jinhain hum apnay pauon say rond rahai ho tay hain,jo naliyon or kora kurkit main pari hamari naahli or bahissi par noha kuna hoti hain.
Aaj hum nay apnay parcham ki bahurmati ki iski saza hai kay hum har shobay main zawal pazeer hotay ja rahay hain.Woh mulk jiski aan or shank ay liya itni qurbani dig ye hai who hamari  naahli or bahissi ki waja say apni  qadr-o-manzalat kho raha hai.
Aaiya hum bahasiyat Pakistani qom is bat ka ahad karain kay apnay parcham ko bahurmati say  bachayain.Yum-e- azadi ko jhanday  zaror lagain lakin din khatam hotay hi parcham ko izat-o –ahtiram say otar kar mahfooz jagha par rakh dain.
Jhandiyan zaror lagain lakin din khatam hotay hi tamam jhandiyan lapait kar rakh dain or agar hum iski hifazat nahi kar saktay to parcham ki  jhandiyon  kay bajaye rang barangi jhandiyan lagain.

Aaiya hum khud bhi or apnay bachon ko bhi is bat ka dars dain  kay jo qomain apnay parcham ki izat karti hain who  qomain  dunya  main kamiyab rahti hain.Kyonkay jab  hum   apnay  parcham say muhabat karain gay to yaqinan apnay mulk say bhi muhabat karain gay.or jab mulk say muhabat karain gay to hum har who kam karain gay jis say hamaray mulk ki naik nami  main izafa ho who  taraqi karay or aqwam-e-alam  main oska nam painda or tabinda  rahai.

Thursday, 4 September 2014

Hikayat

Aik dafa ka zikar hai main jawani ki masti main apni maan say chikh kar bola .woh mairay hal say ranjida dil ho gyi or ghar kay aik konay main ja bathi. woh akailay bathi ro rahi thi .Sath woh kah rahi thi,baitay shayad to apna bachpan bhool gya hai kay to mujh say sakhti say paish a raha hai.Aisay hi aik burhiya nay apnay  baitay say yun kaha ab to chitay ko gira dainay wala or hathi kay say jism wala ho gya hai.Agar to jhay  apna bachpan yad ata jab too mairi god main majboor tha,tu aaj too mujh par khafa na ho ta.zulm na kar isliya kay ab too shair mard hai or main burhi-o-natawan hon. [Shaikh Sadi]

Aaj jab hum apnay mahol par nazar daltay hain to yay bat samnay aati hai kay olad madoday chand  apnay waldain ka ahtiram,izat or adab bhool chukay hain.Talim jis par islam nay zor dya
 hai woh yay talim nahi jis main insan bayshaor ho jaye.Talim achay buray ka shaor paida karti hai or yahi shaor insan or janwar main farq qayam karta hai.Talim say insan main tahzib,tamiz, achay tour tariqay,adab,ikhlaq or shaor paida ho ta hai.Jab tak dunyawi talim kay sath deeni talim hasil na ki jaye talim ka asal maqsad mafqood ho jata hai.Lahaza;

1.Waldain kay sath hamaisha naram lahjay main bat karni chahiye.
2.Onkay samnay ajz-o-inkisari say rahna chahiye.
3.Waldain ko uf tak nhi kahna chahiye.
4.Waldain ki khidmat karna olad par farz hai.
5.Onki zroriyat ko apni zarorat par muqadam rakhna chahiye.

Waldain ki izat-o-ahtiram par har mazhab main zor dya gya hai.Islam main waldain ki nafarmani gunah-e-kabira hai .Allah pak nay waldain ki nafarmani ko shirk kay bad sab say bara gunah qarar diya hai.Hamray liye dunya akhrat ki bhalaye  isi main hai kay hum apnay waldain kay farman bardar ban jayen or apnay Allah ko razi kar lian.

Wednesday, 3 September 2014

Qurani ayat ki bayhurmati

Qabrastan aisi jagha hai jis say har musalman ka aik jazbati lagao hota hai.Yahan hamaray pyaray madfoon ho tay hain. Hum apnay pyaroun say izhar-e- mohabat kay lya on ki qabroun par katbay lagatay hain.Kabhi hum os par onkay nam likhwatay hain kabhi os par pur asar ashar likh watay hain or khabhi qurani ayat kay katbay likh watay hain.Bas yahin hum say bohat bari galti anjanay main sarzad ho jati hai.
Qabrastan aik aam jagha ho ti  jahan insan kay ilawa janwaroun ka bhi guzar ho ta hai.Baz oqat insan or omooman janwar qabron or katbon ki bayhurmati kartay hain.Insan qabron ko phalangtay hain wahan say apni amad-o-raft ka rasta bana laytay hain.
Jabkay janwar na sirf wahan atay jatay hain bulkay wahan rahayash bhi ikhtyar kar latay hain.Aksar janwar on qabron or katbon par pishab or pakhana kar datay hain.Jis say na sirf qabron bulkay on katbon  ki bhi bayhurmati ho ja ti hai jo on par lagay hotay hain.
Lahaza ye aik aisa masla hai jis ka na sirf ulma karam bulkay tamam musalmanon ko khyal rakhna chahiye.Qurani ayat ko is bayhurmati say bachanay ka mukamil bandobast karna chahiya.