Wednesday, 29 October 2014

Tahwar ki asal rooh

Tahwar insan ki samaji or mazhabi zindagi ka akkas hotay hain.Tahwar mananay ka tariqa apnay andar bohat  say pahlo liye hoay hota hai.Agar tahwar main insani qadron ka ahtairam kya jai or who tariqay apnaye jaain jis say insaniyat ko sakoon or itminan hasil ho to who tahwar khoshi or musarat ka bais ban jatay hain.

Insani tareekh main hamaisha tahwaron ko bohat ahmiyat rahi hai.Har dour main log kisi na kisi tahwar Say munsalik rahay hain.In tahwaron ko mana kar who apni milli yak jahti,mazhabi humahangi or tahzeeb-o-tamundan ka izhar kartay rahay hain.

Hamaray muzhab islam main bhi do tahwaron  eidulfitar or eidulduha ko bohat ahmiyat hasil hai.Hamain In tahwaron ko sadgi or purwaqqar tariqay say mananay ki ijazat dig ye hai.In tahwaron main har qisam Ki kharafat say bachnay ki hidayat digye hai.Eidain ka agaz pur waqqar tariqay say do rikat namaz ki  Adaigi say hota hai.Allah ki tareef or shukar ada karnay kay bad musalman aikdoosray ko eid ki Mubarak Daitay hain galay miltay hain or bhai charay ka aitiraf kartay hain.Jab namaz kay liye kharay hotay hain Os waqt na koi amarat ki shan dikha raha hota hai or na koi gurbat ki waja say sharmindagi mahsoos kar Raha hota hai.Jis ko jahan jagah milti hai who saf main khara hojata hai.Or sab bila tafreeq aik doosray Say galay mil rahay ho tay hain.Ye islam ka aafaqi sabaq hai kay Allah kay hozoor sab barabri ka darja Rakhtay hain wahan ameer-o-gareeb ,chotay baray ka koi farq nahi hota hai.Wahan sirf Taqwa insane  Ko buland ya kam darjay par faiz karta hai. Taqwa ye hai kay Allah kay tamam ahkaimat jo quran kay zariye hum tak pohnchay hain onki mukamal Pabandi ki jaye or jin kamon say mana kya gya hai os say mukamal tor par ahtairaz kya jai.

Islam who mazhab jahan tahwar say laikar har moasharti, moashi,samaji or mazhabi muamlat main Insani  qadar or ahtiram ki talqeen ki gyi hai. Hamray tahwar bhi insane ko aik doosray ka ahtiram karnay,madad karnay, zarooryat ka khaiyal rakhnaY ,bhai charay,milli yak jahti,itihad,itifaq or aik doosray ki ahmiyat ko tasleem karnay ka sabaq daitay Hain.

Ab ye hamara farz hai kay hum apnay tahwaron ko oski asal rooh kay mutabiq manain or hur os kharafat Say bachain jo akhrat or dunya main ruswaye ka sabab banay. 

Thursday, 16 October 2014

Teenagers

Insan ki zindagi main larakpan say jawani main dakhil honay ka zamana buhat ahmiyat ka hamil hai.Yahi woh dour hai jis main insan ki shaksiyat banna shoro hoti hai.Yay dour omoman 13 say 19 sal ki omer ka hota hai.

Is douran bachay main jo rawaiya tashkil patay hain .woh sari zindagi insan par asar   andaz hotay rahtay hain.Ye zindagi ka woh hissa hai jahan har cheez ko daikhnay ka andaz tabdeel ho jata hai.Bachay har cheez ko apnay nukta-e-nazar or maiar kay tahat daikh rahay hotay hain

Ye dour bachay ki shaksiyat ki takmeel kay laihaz say buhat nazuk dour hota hai.Bachay kisi bhi kam ya kisi bhi cheez ko karnay main tazabzub ka shikar hotay hain.Baz oqat woh jarhana rawaiya ikhtyar kartay hain or baz dafa har cheez main paspaye ikhtiyar kar laytay hain.

Woh apnay jismani sakht main honay wali tabdiliyon ki waja say tashweesh ka shikar hotay hain.Inkay andar nafsiyati or zahni tabdiliyan ho rahi hoti hain jiski waja say woh kashmakash main mubtala ho jatay hain.

Omer kay is hissay main larkon or larkiyon kay mizaj main buhat tabdiliyan hoti hai.Baz larkay jarhana rawaiya ikhtiyar kartay hain or baz sharmilay ho jatay hain.Isi tarah baz larkiyan jarah hojati hain or baz sharmeeli.

Yahi woh waqt hota hai jab waldian ko onki shakhsiyaat ki takmeel main aaham kirdar ada karna hota hai.Onhay achhay buray ki tameez sikhani hoti hai.apnay rawaiye ko control karnay ka gur batana hota hai.

Is omer main bachay apnay andar honay wali tabdiliyon ko samajh nahi patay is liye woh mukhtalif 
rawaiyon ka izhar kartay hain.Waldain ko bachon ko onkay andar honay wali tabdiliyon say aagahi daini chahiye.Onkay sath dostana or mushfiqana tarz-e-amal ikhtiyar karna chahiye.onkay andar musbit soch or rawaiye ko farog daina chahiye.Onkay masayil ko gour say sunna chahiye or oska hal batana chahiye.Onko ye batana chahiye kay woh kis tarah aik achhay insan or karaamad shahri ban saktay hain.Qadam qadam par onki rahnumaye karni chahiye.Waldain ko waldain say zyada aik dost or rahnuma ka kirdar ada karna chahiye.         


Friday, 10 October 2014

Ryakari

Ryakari or banawat who insane rawiaye hain jo moashray ko ghun ki tarah chat rahay hain.Agar hum apnay irdgird nazar dalian  to har shakhs aik dohra kirdar ada kar raha hota hai.Hum bazahir jo nazar aa rahai hotay hain woh hotay nahi hain.Hamaray dil main kuchh or zaban par kuchh hota hai.
Agar hum amiron ko daikhain to onhon nay garoor or takabur ko apnana apna farz samagh liya hai. Gardan ko akra kar rakhtay hain aksaryiat kay hark am main ryakari nazar aa rahi hoti hai.yahan tak kay dini mamlat bhi ryakari say khali nahi hotay.Agar kisi ki madad kartay hain to ahsan jatla kar kartay hain.Mazhabi mamlat jaisay Haj,omra,qurbani, to onki koshish yahi hoti hai kay zyada say zyada  haj or omray karain takay log onhai parhaizgar samjhain.Qurbani ka jawar kharidtay waqt Allah ki raza madday nazar nahi rakhi jati bulkay dikhaway ko madday nazar rakha jata hai kay log ye kahain kay inka janwar to buhat mahnga or achha hai.Baitiyon ko zyada say zyada jahaiz dai kar apni amarat ka izhar kya jata hai.Media par apnay falahi kamon ki tashheer ki ja rahi hoti hai.Is banawati or ryakarana rawiaye ko apna kar gareeb bhi apni zindagi ko talkh kar rahay hotay hain.Odhar laikar jahaiz dya jata hai.Apna maiaray zindagi buland karnay kay liye gairqanooni tariqay apnaye jatay hain.Dosron ko margoob kar nay kay liye apni hasiyat say barh kar ikhrajat kiye jatay hain.Jiski waja say moashray main aik afratafri si nazar aati hai.har fard apnay maqasid kay hosool ki tag-o-do main masroof nazar aata hai.Moasharti hum ahangi ka tasawar mafqood hojata hai.   
Agar sahib-e- sarwat afrad apnay ryakarana rawiaye ko tark kar dain or aik sada or purwaqar zindagi guzarain to moashray main mojood doosray logon ki zindagi bhi pursakoon ho sakti hai or moashray main humaahugi paida ho sakti hai.

Is ryakari or banawati rawiaye ko katam karnay main khwateen aham kirdar ada kar sakti hain.omuman shadi ,biyah,tahwar or digar taqribat kay moqay par aik doosray par sabqat lay janay ki  koshish main khwateen mahngay say mahnga  libas ,zaiwairat or zaibaish ki ashya istamal karti hain jiski waja say na sirf gharailo akhrajat main izafa hota hai bulkay gharailo bajat bhi gair mutawazan ho jata hai.Hum agar shoro say apnay andar ye rawia apna lain kay kisi ka gair zaroori muqabla nahi karna hai jitni chadar ho otna pair phailana hai.Apni had main rahna hai.Ryakari say bachna hai.Banawati rawia ikhtiyar nhi karna hai or jo kuchh Allah pak nay ata kya hai oska shukar ada kartay hoye apni oqat main rahna hai to yaqinan na sirf hamari khangi zindagi bulkay moashrati zindagi bhi pursakoon or puraman ho sakti hai bulkay hum aik mutwazan or bahtar moashray ki bunyad rakh saktay hain.

Thursday, 18 September 2014

Pahla Qadam

Jab aik bacha talimi maidan main qadam rakhta hai to ghar walay apni khuhishat kay mutabiq os say bhhat si tawaqat wabasta kar laytay hain.Pahlay din say ye soch lya jata hai kay maira bacha bara ho kar doctor, engineer,waqeel, businessmen or isi tarah kay baray ohday ka hamil insan banay ga.Is tarha bachay ki zahni salahiyat,oskay rujhan or qabliyat janay baghair is say tawquat wabasta kar li jati hai.
Bacha jaisay jaisay talimi mrahil tay karta jata hai us par in tawqat ko pora karnay ka dabao barhta jata hai.Bacha agar is dabao ko bardasht nhi kar pata to talim say bhagna shoro kar daita hai.Or oska dil parhaye say ochat ho jata hai.Doosri taraf bhair chal ki waja say aik shakhs jo kar raha hota hai doosra bhi oski pairwi ki koshish karta hai jiski waja say talim say shaor kay bajaye bayshaori paida ho rahi hai.
Bachay ko school main dakhil karwanay ki omer 5 say 6 sal ki hoti hai.Is omer tak gharwalon ki zimadari hoti hai kay who bachon ki tarbiyat karain lakin moashray main apni zimadariyon ko nibhanay ka rujhan napaid hota jaraha hai.Doosri taraf talim ko tijarat bana dya gya hai.Talimi idaray apni aamdani main izafay kay liye choti omer main hi bachon ko school main dakhil karwanay ki  targib daitay hain.Laihaza bachay ki woh omer jis main who ghar main rah kar ikhlaqi,kirdari or mosharati tarbiyat hasil kata hai who school ki nazar hojata hai.
Jab bachay ki kisi shobay main janay ki omer aati hai to andhi taqlid or apni khoaish ki takmil kay liye bachay kay rujhan or oski qablyat janay baghair shobay ka intikhab kar lya jata hai.Jiski waja say bachay ki salahiyat dab jati hain or woh shoq kay bajaye dabao kay tahat talim hasil kar raha hota hai.
Isi tarha school kay intikhab main school kay maiyar ko nahi bulkay oskay nam,bastay kay wazan or manhgi fees ko tarjih di jati hai.yahi waja hai kay bacha jab school main dakhil ho ta hai to oski tawjah talim par kam numashi kamon par zyada ho ti hai.Isi musabiqat ki waja say  bacha talim say bhagna shoro ho jata hai.Agar hum chahtay hain kay hamaray bachay talimi maidan main taraqi karain to hamain in baton ko madde nazar rakhna hoga;
1.School kay intikhab main school kay maiyar ko tarjih daina.
2.Bachay ko is dabao say aazad karna kay osnay baray ho kar kya banna hai.
3.Os kay liye shobay ka intikhab kartay waqt oski zahni salahiyat,qabliyat or oskay rujhan ko madde nazar rakhna.
4.Aisay nisab ko chunna jo bachon ki qabliyat or salahiyat ko ojagar karai.
5.Talimi nisab main itna hi mawad shamil kya jaye jo onki zahni istadad kay mutabiq ho.
6.Aihd-e-hazir say mutabiqat rakhnay walay mazamin shamil-e-nisab hon.
7.Madri zaban main hasil ki gye talim zyada karaamad hoti hai.


Tuesday, 9 September 2014

Ahsas-e-kamtari

Ahsas-e-kamtari insane  ka  woh rawayya hai jis main woh  khud  ko dosray say  kamtar samajh raha ho ta hai.Iski  ye soch hoti hai kay woh kisi  bhi  kam ko  ahsan  tariqay say anjam nahi day sakta hai.
Ahsas-e-kamtari ki wajhohat:

Hamray ird gird basnay walay afrad kay rawayya iska sabab bantay hain.Hamra gharailo mahol bhi is raweaya kay bannay main aham kirdar ada karta hai.

Ghar aik khandan say wajod main ata hai.Jis main hamaray waldain, bhai, bahan or mukhtalif rishtay dar shamil ho tay hain.Baz gharon main hamaray mutalqin ka rawayya  buhat musbit hota hai jahan har achay kam ko saraha jata hai or har buray kam ki muzamat ki ja ti hai.

Jabkay dosri taraf aisay khandan bhi hotay hain jahan har waqt tanqidi rawayya ikhtiyar kya ja ta hai.Achay kam ko saraha to nahi jata lakin har bat par tanqid karna farz samjha jata hai.Khandan kay afrad aikdosray ko nacha dikhanay ki koshish main lagay rahtay hain.har waqt dosray say mwazna kya jata hai.Yahi waja hai kay is mahol main musbit kay bajaye manfi  rawayya banna shoro hojata hai.

Baz oqat waldain kay rawaeye bhi  bachon main Ahsas-e-kamtari ka sabab banta hai.Omuman baz gharon main bachom main tafriq ki ja ti hai.Kisi ko sar par bithaya jata hai or kisi ko giraya gata hai.
Masharti nahamwari bhi iska sabab banti hai.Qudarti tor par kisi cheez ki kami bhi iska wajoh hoti hai.

Ab  hum is nuktay par atay hain kay is say kaisay bacha jaye.
Agar iska sabab qudraty hai to hamain apni kisi bhi kami ko Allah ki raza samajh kar sabar karna chahiye or Allah ka shukar guzar banda ban jana chahiye.
Agar dosray log iska sabab hain to onko nazar andaz kar daina chahiye.Gharailo mahol ko bahtar bannay ki koshish karni chahiye.Apnay aap ko ya yaqin dilana chahiye kay aapni mahnat ,koshish, lagan or khud par yaqin kidolat say hum apni nakamiyon ko kamyabi main badal saktay hain.Jo log dunya main kamiyab hain onsay nasihat pakrain or nakam logon say ibrat hasil karain.Agar ye rawayya buhat zyada

masayal  ka sabab ban raha hai or shakhsiyat ko maskh kar raha hai to fori tor par kisi mahir-e-nafsiyat ko dikhana chahiye.

Sunday, 7 September 2014

Parcham

 Parcham jiska hum apni jan say zyada hifazat karnay kartay hain who galyon, muhallon ,gharon or khambon par laga kar bhol jatay hain.Or musalsal kharab mosam or hawa kay thapairay khatay hoye who zakhmi zakhmi ho ja ta hai.Or har aanay janay walay say sawal kar raha hota hai kya main isi salok ka mustahaq hon?
Pakistani  parcham  ki jhandiyan j okay gali ,muhallay or gharon ko sajanay kay liye istamal ki ja ti hain, who waqt kay sath sath zameen par bikhri hoie nazar ati hain.Jinhain hum apnay pauon say rond rahai ho tay hain,jo naliyon or kora kurkit main pari hamari naahli or bahissi par noha kuna hoti hain.
Aaj hum nay apnay parcham ki bahurmati ki iski saza hai kay hum har shobay main zawal pazeer hotay ja rahay hain.Woh mulk jiski aan or shank ay liya itni qurbani dig ye hai who hamari  naahli or bahissi ki waja say apni  qadr-o-manzalat kho raha hai.
Aaiya hum bahasiyat Pakistani qom is bat ka ahad karain kay apnay parcham ko bahurmati say  bachayain.Yum-e- azadi ko jhanday  zaror lagain lakin din khatam hotay hi parcham ko izat-o –ahtiram say otar kar mahfooz jagha par rakh dain.
Jhandiyan zaror lagain lakin din khatam hotay hi tamam jhandiyan lapait kar rakh dain or agar hum iski hifazat nahi kar saktay to parcham ki  jhandiyon  kay bajaye rang barangi jhandiyan lagain.

Aaiya hum khud bhi or apnay bachon ko bhi is bat ka dars dain  kay jo qomain apnay parcham ki izat karti hain who  qomain  dunya  main kamiyab rahti hain.Kyonkay jab  hum   apnay  parcham say muhabat karain gay to yaqinan apnay mulk say bhi muhabat karain gay.or jab mulk say muhabat karain gay to hum har who kam karain gay jis say hamaray mulk ki naik nami  main izafa ho who  taraqi karay or aqwam-e-alam  main oska nam painda or tabinda  rahai.

Thursday, 4 September 2014

Hikayat

Aik dafa ka zikar hai main jawani ki masti main apni maan say chikh kar bola .woh mairay hal say ranjida dil ho gyi or ghar kay aik konay main ja bathi. woh akailay bathi ro rahi thi .Sath woh kah rahi thi,baitay shayad to apna bachpan bhool gya hai kay to mujh say sakhti say paish a raha hai.Aisay hi aik burhiya nay apnay  baitay say yun kaha ab to chitay ko gira dainay wala or hathi kay say jism wala ho gya hai.Agar to jhay  apna bachpan yad ata jab too mairi god main majboor tha,tu aaj too mujh par khafa na ho ta.zulm na kar isliya kay ab too shair mard hai or main burhi-o-natawan hon. [Shaikh Sadi]

Aaj jab hum apnay mahol par nazar daltay hain to yay bat samnay aati hai kay olad madoday chand  apnay waldain ka ahtiram,izat or adab bhool chukay hain.Talim jis par islam nay zor dya
 hai woh yay talim nahi jis main insan bayshaor ho jaye.Talim achay buray ka shaor paida karti hai or yahi shaor insan or janwar main farq qayam karta hai.Talim say insan main tahzib,tamiz, achay tour tariqay,adab,ikhlaq or shaor paida ho ta hai.Jab tak dunyawi talim kay sath deeni talim hasil na ki jaye talim ka asal maqsad mafqood ho jata hai.Lahaza;

1.Waldain kay sath hamaisha naram lahjay main bat karni chahiye.
2.Onkay samnay ajz-o-inkisari say rahna chahiye.
3.Waldain ko uf tak nhi kahna chahiye.
4.Waldain ki khidmat karna olad par farz hai.
5.Onki zroriyat ko apni zarorat par muqadam rakhna chahiye.

Waldain ki izat-o-ahtiram par har mazhab main zor dya gya hai.Islam main waldain ki nafarmani gunah-e-kabira hai .Allah pak nay waldain ki nafarmani ko shirk kay bad sab say bara gunah qarar diya hai.Hamray liye dunya akhrat ki bhalaye  isi main hai kay hum apnay waldain kay farman bardar ban jayen or apnay Allah ko razi kar lian.

Wednesday, 3 September 2014

Qurani ayat ki bayhurmati

Qabrastan aisi jagha hai jis say har musalman ka aik jazbati lagao hota hai.Yahan hamaray pyaray madfoon ho tay hain. Hum apnay pyaroun say izhar-e- mohabat kay lya on ki qabroun par katbay lagatay hain.Kabhi hum os par onkay nam likhwatay hain kabhi os par pur asar ashar likh watay hain or khabhi qurani ayat kay katbay likh watay hain.Bas yahin hum say bohat bari galti anjanay main sarzad ho jati hai.
Qabrastan aik aam jagha ho ti  jahan insan kay ilawa janwaroun ka bhi guzar ho ta hai.Baz oqat insan or omooman janwar qabron or katbon ki bayhurmati kartay hain.Insan qabron ko phalangtay hain wahan say apni amad-o-raft ka rasta bana laytay hain.
Jabkay janwar na sirf wahan atay jatay hain bulkay wahan rahayash bhi ikhtyar kar latay hain.Aksar janwar on qabron or katbon par pishab or pakhana kar datay hain.Jis say na sirf qabron bulkay on katbon  ki bhi bayhurmati ho ja ti hai jo on par lagay hotay hain.
Lahaza ye aik aisa masla hai jis ka na sirf ulma karam bulkay tamam musalmanon ko khyal rakhna chahiye.Qurani ayat ko is bayhurmati say bachanay ka mukamil bandobast karna chahiya.

Saturday, 30 August 2014

Hazri

Hazri
Hamaray muashray main hazri ka lafz ka bhuhat zyada istamal hota hai.
Hazri kya hai?
Hazri us kafiyat ko kahtay hain jis main insan apni nafi kar raha ho ta hai or us par kisi doosri makhlooq ka galba ho ja ta hai or insan apnay housh main nahi rahta.Omuman is sorathal say ortain zyada dochar ho ti hain.
Hazri ki wajoohat!
Insan ki zindagi amal or uskay raddeamal par munhasir hoti hai.Omooman hamara koai bhi raddeamal kisi amal ka natija ho ta hai.Baz oqat insan mojooda halat say farar chahta hai.Is kay lya  woh kisi bhi raddeamal ka izhar karta hai.Hamaray muashray main ortain omooman bayja dabao ka shikar hoti hain.khin woh apnay ghar main bhai,bap ka zulam sah rahi hoti hain jabkay susral main poora gharana un par zulam kar raha hota hai aisi soorathal say nijat kay liya woh hazri ka sahara laiti hain.Ye aik aisi kafiyat hai jiski tabbi tor par koai wazahat nahi ki ja sakti.
Baz aoqat insan apni kisi bat ko manwanay kay lya hazri ka sahara layta hai.Omooman nojawan larkay or larkyan jab apni koai bat manwana chahtay hain to aisi aisi harkat kartay hain.Jis say ghar walay dabao main akar un ki bat man laytay hain.omooman ye tarzeamal jab hi ikhtyar kya ja ta hai jab insan apnay mahol say farar hasil karna chahata hai ya phir apni koi bat manwana chahta hai.
Ye bat  roz-e-roshan ki tarah ayan hai kay koi bhi makhlooq insan par is had tak control hasil nahi kar sakti kay woh apna wajood bhool jay. Hazri ko barhawa dainay  main sab say zyada kirdar gair mustanid amil ada kartay hain.
Jab bhi koi aisi soorat hal samnay aye to is kay liye sab say pahlay kisi mahir nafsiyati mualij say rujo karna chahia.Or mariz kay dabao main anay kay bajay khud is say bat manwanay ki koshish karni chahye.Hazri darama bazi kay ilawa kuchh nahi hoti. Iska sab say bahtar ilaj khud ghar kay afrad samajh boojh say kam laikar kar saktay hain.



Friday, 29 August 2014

Maslak


  Muslak
Aksar jab hum apas main miltay hain ya rishtay wagaira tay kartay hain to omoman aik sawal pochha jata hai kay apka kis maslak se taluq hai?
Baz oqat shadi kay tamam mamlat tay hojatay hain magar maslak ki bunyad par rishta katam ho ja ta hai.
Muslak kya hai?
Islam main char imam bohat mashhoor hain.
1.Imam Abu-Hanifa
2.Imam Malik
3.Imam Shafai
4.Imam Hanbal
In imamoun ki taqlid ko maslak kaha jata  hai.Jo insan jis imam ka motaqid hai who os maslak se khud ko jor laita hai.
Ab sawal ye paida hota hai kya islam main iski gunjaish hai?
Quran-e-pak main Allah pak ka irshad hai!
''Or Allah ki rassi ko mazbooti se pakar lo or tafraqay main mat paro."
Jab islam tafraqay ki mumaniyat kar raha hai to phir maslak ki bunyad par islam ko taqseem karna batil hai.
Hamray aaima arba ka hum ahsan-e-azeem hai kay onhon nay Qurani talimat ko hamari samajh kay liya asan kar dya hai.Or in charon imam ka makhiz quran-e-karim hai.onhon nay quran ko jis tarah samjha os ko aasan kar kay ham tak ponchha dya.Onhon nay kabhi is bat ka taqaza nahai kya kay hum onki tashrihat ko bunyad bana kar ikhtilaf karain.
Ab ye hamara farz banta hai kay hum bajay faqihi ikhtalaf main parain bulkay jis imam ki tashrih hamaray liye aasani ka sabab banay osko ikhtiyar kar lain.Kisi bhi maslak ko ikhtiyar karnay ya na karnay say hamaray din par koei harf nahi aiga.Hamain quran ki pairvi ka hukam hai.kyunkay maslak insan ki banai hooe cheez hai jabke quran malik-e-haqiqi ka hai.
Maslak ki bunyad par jab hum bat kartay hain to aik aham masla hamaray samnay ata hai jis ki waja se kitnay ghar barbad hogya hain.Who talaq ka masla hai.Aik maslak kahta hai kay teen martaba talaq ka lafz istamal karnay say talaq ho ja ti hai jabkay doosra maslak kahta hai teen dafa talaq dainay say talaq hoti hai.
Agar hum muashray kay halat-o-waqayat par nazar daltay hain to ye bat samnay aati hai.kay hamaray muashray main taleemyafta afrad ka tanasub buhat hi kam hai.Talaq baz martaba ghussa main di jati.Baz dafa kisi kay bahkaway main, baz dafa inthahi mamooli bat par itna bara qadam otha lya jata hai jis ki waja say na sirf mian bivi bulkay onkay bachchay or donon khandan buri tarah mutasir hotay hain or onki poori zindagi barbad ho jati hai.
Agar hum maslaki jhagray main na parain or charon imam ki talimat or tashrihat ki pairvi karain to is baray maslay ko aasani say hal kya ja sakta hai or kitni zindagyon ko barbad honay say bachaya ja sakta hai.
Hamain ye bat madd-e-nazar rakhni chahiye kay charon imam kay faqihi masayal main jo bhi ikhtilaf ho laikin sab ka manba-a-ilm or makhiz ‘’Quran-e-Majeed” hai.
   Lahaza qom ko maslaki jaghray main uljhana kisi bhi tor qabilay tarif amal nahi hai or na hi koi qablay taqleed bat hai.



Thursday, 28 August 2014

Talaak (Divorce) or Uski Wajoohaat

Aj kal hamray muashrey main talaq ki sharah buhat barthi jarahi hai. Jo ke aik preshan kun sorat-e-hal hai.Jab hum talaq ki wajoohat janne ki koshish kartay hain to mundarjazail haqaiq hamarey samney atay hain.

1. Zahny humahangi ka  fuqdan.
2. Had se zyada khud sari.
3. Buzragoun ki nafarmani or onkey sath hatak amaiz rawiya.
4. Lalach
5. Marige bureau par had se zyada bharosa.
6. Khud ko aqle kull samjhna .
7. Rishtoun se beatanai.
8. Bardasht ki kami.
9. Maike or susral ki hudood ka khayal na rakhna.
10. Susral main apni zimadariyon ahsas na karna.
 11. Susral main maike walon ki beja dakhal andazi.
12. Shak karna.
13. Doosron ki baton main jald ana.
14. Baghair tasdiq key ilzam tarashi.
15. Aik dosray ko nicha dikhaney ki koshish karna.

Wednesday, 13 August 2014

Do You Have Any Question? Ask We Will Tell You!

Are you worried, or cannot decide what to do and what not? Do you have family problems or any other issue? If you want any answer, ASK, and we will tell you.

The only thing that we need to answer is your name and city name. Nothing more.


Thursday, 26 June 2014

Motapa (obesity)



Aksar hum ko ye jumlay sunnay ko milte hain kay hum sara din khane peene main ahtiyat barate hain phir bhi mote hain

Ham rozana kai kilometer chalte hain lakin wazan kam nhi hota hai

Ye wo aam jumle hain jo rozana hmari samat se takrate hain. Log wazan kam karne ke lya har nuskha azmane ko tyar rahte hain lakin wazan bharne ki wajohat janne ki koshish nhi karte.wazan barne ki mukhtalif wajoohat hoti hain or log waja jane bagair ilaj shoro kar dete hain jo baise rahmat ke bjai baise zahmat ban jata hai. Aam tor par wazan barne ki wajoohat ye ho ti hai.
  • baadi ashya ka istamal
  • jism main charbi ka barh jana
  • jism main kisi bhi cheez ki zyadti ya kami ho jana
  • rat ko dair se sona or subha dair se uthna
  • jism ki zarorat se zyada khana
  • bohat zyada aram karna

Ilaj
Sab se pahle wazan barhne ki waja janni chahea phir os ke mutabiq ilaj shoro karna chahea.
Un tamam gizai ajza se parhaiz kar na chahai Jinki taseer badi ho.
Motape ka sabab charbi hai to Muraggan (chicken) ghiza se mukammal parhaiz karna chahea.
Jab tak bhook na lage khana nahi khana chahea or jab thori bhook baqi rah jae khana khane se ruk lia jae.
Physician se mukammil check up karwa ke jism main kisi bhi cheez ki kami ya zyadti ka maloom kar ke is munasib ilaj karwana chahea.
Bohat zyada aram se parhaiz karna chahea.Aise mashagil ikhtyar kar na chahea jis se jism ki zyada se zyada kasrat ho sake.  

Sunday, 8 June 2014

Magic and Its Healing



The term magic is really old. There is a war between good and bad from the start. Anything that leads a person towards destruction is bad and the thing that leads to productivity is considered as good. When magic utilized for the benefit of mankind, it is all good and when it is used to destruction, then there is nothing worse than it. In this present era, bad is at its peak. People are using every single way to harm others. Many magicians are performing this task to accomplish the goal of destruction. They get paid for their work. In reality, they are just collecting badness and trouble for mankind.

There are many kinds of magic. The most dangerous kind of magic is cursing and black magic. These magic types don’t kill a person but make them a ‘living dead’. There are also special kinds of magic that restrict person particular kind of job. They are also meant to stop wedding, to make you fight etc. Because of this, life is made full of miseries. When we get medically sick, we go to physicians to seek medical help, but when any of the above situations occur, it is necessary to take help for spiritual healers. It is very necessary to go to the authentic healers only because there are many people who are just practicing this art but does not know what they are doing. They not only make you worst in this situation but also bring financial crisis.

How to find an authentic Healer?

If you are seeking the spiritual help then it is highly necessary that you go only to the authentic person but the question arises “How to find a true healer when the world is full of fake ones?” To do that, it is necessary to check the closeness of the healer with the religion. No matter which religion he or she may follow, their lives must be according to the beliefs which that religion holds. He must also be free of all evils and must be a good human being. The Holy Books hold the information to cure various kinds of magic.


______________________________________________________________________________________________________________


Jadu in URDU/HINDI

 

Jadu Ki Haqeeqat


Jadu ki istalah bohat porani hai. Ibtida hi se dunya main khair-o-shar ki jang chali aa rahi hai. Har woh amal jo insan ki bhalai ka sabab banay who khair hai or jo tabaahi ka sabab bane who shar hai. Agar jadu insan ki bhalai ke liye istamal ho to khair hi khair hai warna is se barda koi shar nahi. Aj kay dour main jab ke taqribun har taraf shaitaniyat ka dour doura hai, isliye jadoo ka istamal buhat barh gya hai. Insan apne hasad or intikami jazbay ki taskeen ke lye jadoo ka sahara layta hai jis ke lya aamil or jadoogar maowza (payment) ke ewaz ye kam anjam de rahe hain or insan ki tabaahi or barbadi ka samaan kar rahe hai.

Jadoo Ki Iqsaam:
·       Kala jadoo
·       Kala ilm
·       Amliyat
·       Bandish
·       Mantar
·       Sifli
·       Tona
·       Totka

In main jadoo ki sab say khatarnak qisam kala ilm aur sifli hain. In ilm kay zariye insaan ki sirf jaan nahi jati hai lekin iski halat mordoun (dead) se bhi badtar ho jaati hai.
Amliyat or bandishoun ke zariye makhsoos (particular) kamoun (work) main rukawatain (hurdles) paida kar di jati hain, jin main shadi, jobs, taraki, olad ka na hona, shohar-bivi main nafrat, laraai, jhagray or apas ki naitafaqi shaamil hain. Isi tarah tone totke ke zrya insan ki zindagi ko talkh (hard) kar diya jata hai. Agar zindagi ke mamlat buhat pareshaan kun ho gye hon aur elaj (treatment) ke bawajood ifaqa na horaha ho, her kam bigar raha ho to foran kisi roohani (spiritual) mualij (doctor) se rujoo (contact) karna chahye. Roohani mualij ke lye zaroori hai ke usay apne kam par mukammil dastaras (command) hasil ho. Ghair mustanid mualij na sirf mareez (patient) ka bora haal kar daite hain bulke ose mali nuqsan bhi pohnchhate hain. Mustanid mualij ki pehchaan ye hai ke who jis mazhab (religion) se bhi taluq rakhtta hai oski talymat or ahkamat par mukammil amal karta hai. Asmani kitaboun ke alfaz jadoo ke tor ka sab se mujarab (top) ilaj hai.






 

 


Saturday, 31 May 2014

Why I am not getting better?



Many times, it seems that everything is fine but there is a feeling of depression and anxiety. Sometimes, even the psychiatrists don’t have the cure of this anxiety. Professionals usually go for various tests and give medicines to provide mental peace. These treatments although provide benefit but peace does not last long. It is necessary for that person to take spiritual help.

The reason of this anxiousness can be diverse. Any of these things can be the reason: evil, spirit, and obsession. Most of the time, these creatures not only annoy the person but also start to live with that person. As humans have good and bad people, same is the case with these creatures. In them, the mischief makers are the ones who usually tease humans because it is what they love. If humans start to live in their home, they surely want a person to leave their place. They try various strategies including frightening the family and sometimes extreme harming so humans will leave the place. Bad creatures usually live near places full with litter, when human crosses by from this area they start to live with the person. Bad creatures have bad effects on their surroundings while good creatures have good effects.  

If you think you have a problem like this, you can email us at tayyabaasif65@gmail.com to know the solution.